Tuesday, January 21, 2025
spot_img
HomeNationalZERO TOLERANCE FOR SURROGATE COMPANIES

ZERO TOLERANCE FOR SURROGATE COMPANIES

Ministry of Information & Broadcasting ko reports mili hain ke Pakistan Cricket team ka Australia tour live broadcast ke doran, Pakistan Television mein shamil hokar, mukhtalif media outlets/channels par clear illegal act hota raha hai.

Ministry ki Instructions thin ke surrogate companies ko kisi bhi advertisement ke zariye promote na kiya jaye aur mojooda agreements ko foran khatm kiya jaye. Lekin, Conventional evidence ke mutabiq, kam az kam do companies ke logos live broadcast mein nazar aaye hain.

Concernds se darkhast hai ke:

01 – Immediate compliance ko ensure karen without any fail.

02 – Instruction ki khilafwarzi ke asbab ki investigation karein aur is circulation ki ek copy ek haftay ke andar submit karein.

National Broadcaster PTV ne parent right holders ke sath is masle par amal karne ka irada kiya hai. Agar yeh na ho, to licensors aur licensee ke darmiyan taalluqat khatam kiye jayenge.

PEMRA Ordinance, 2002 ke mutabiq, PEMRA ko Pakistan ke laws aur licensing conditions ke regards ko barqarar rakhne ki hidayat di gayi hai. Agar yeh law ko nahi man’te, to aise TV channels ke landing rights ko Cancel kiya ja sakta hai.

PCB ko bhi yeh order hai ke 25 September, 2023 aur 20 October, 2023 ko di gayi instructions ko amal mein laaye.

PTA ko bhi instructions hai ke Pakistan mein aise ghair-qanooni surrogate betting, gambling aur casino companies ko rokey, jo apps aur websites ke zariye kaam kar rahe hain. Pakistan mein is tarah ke content ko monitor karne aur foran block karne ke liye ek vigilant wing tashkil dene ki ashad zarurat he.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×