Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeEconomyWORLD BANK NE PAKISTAN KI GDP GROWTH FORECAST KAM KAR DI –...

WORLD BANK NE PAKISTAN KI GDP GROWTH FORECAST KAM KAR DI – AB SIRF 2.6% TAK EXPECTED

ISLAMABAD: World Bank ne Pakistan ke liye GDP growth ka andaza 3.1% se ghata kar 2.6% kar diya hai FY2025-26 ke liye. Report ke mutabiq, ongoing floods ne agriculture aur food supply chain ko nuqsan pohchaya hai, jis ki wajah se mehngai barhne ka khatra hai.

Bank ki MENAAP economic update report ke mutabiq, Punjab mein 10% tak agricultural output kam hone ka imkaan hai, jo rice, sugarcane, cotton, wheat aur maize ki fasslon ko affect karega.

Agla fiscal year (2026-27) mein growth 3.4% tak barhne ki umeed hai, jab ke inflation aur interest rates mein kami aur agriculture output mein behtari ki wajah se economy stable hone ka chance hai.

Report ne ye bhi highlight kiya ke agar Pakistan women ko labor market mein zyada mauqay de, to GDP per capita 20–30% tak barh sakta hai.

Floods ke asraat se 2027 tak inflation pressure rehne ka imkaan hai, aur exports mein 1.5% kami bhi dekhi ja sakti hai

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×