Monday, November 10, 2025
spot_img
HomeBusinessUS PUSHES PAKISTAN TO END COTTON FUMIGATION REQUIREMENT AT PORTS

US PUSHES PAKISTAN TO END COTTON FUMIGATION REQUIREMENT AT PORTS

Karachi: Amreki idaron ne Pakistan se mutalba kiya hai ke Amreki rooi (cotton) ki bandargah par fumigation karne ki shart khatam ki jaye, taake unki rooi ki exports barh sakein.

Chairman Cotton Ginners Forum Ehsan-ul-Haq ne bataya ke pehle Pakistan mein import hone wali rooi par do martaba fumigation hoti thi — ek export karne wale mulk mein aur doosri Karachi Port par 48 ghantay ke liye — taake kisi bhi qisam ke keeron-makoron aur germs ka khatma ho sake.

Kuch arsa pehle, hukoomat ne yeh ijazat di thi ke fumigation sirf ek mulk mein ki jaye taake rooi jaldi mills tak pohanch sake.

Ab do Amreki export agencies — National Cotton Council aur Cotton Council International — ne APTMA ke zariye federal ministry se darkhwast ki hai ke Amreki rooi par fumigation ki shart poori tarah khatam kar di jaye.

Ehsan-ul-Haq ke mutabiq, yeh qadam sirf Amreki rooi ki demand barhane ke liye hai, lekin Pakistan ko is par ehtiyaat baratni chahiye taake Amreki keeray dobara mulk mein na aa sakein.

Unhon ne yaad dilaya ke pehle bhi Amreki aur Gulabi Sundi aur Gandum ka Lal Baig America se aayi rooi aur gandum ki fumigation na hone ki wajah se Pakistan mein phail chuke hain.

Ehsan-ul-Haq ne kaha ke cotton industry pehle hi mehngai, high utility rates, aur baray taxes ki wajah se bohot pressure mein hai — jin ki wajah se ginneries, oil mills aur textile mills band hoti ja rahi hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×