America mein interest rate mein taqreeban 4 saal baad aaj kami ka imkaan zahir kiya ja raha hai.
Foreign media ke mutabiq, American central bank aaj interest rate par faisla dega aur is hawale se market ki umeedain, interest rate kam hone ki hain.
America mein interest rate March 2020 se tabdeel nahi hua aur Federal Funds Rate ka mojooda band 5.25 se 5.50 percent hai.
Economic analyst Syed Hussain Haider ne American interest rate par tabserah karte hue kaha ke Federal Funds Rate mein 25 se 50 basis points tak kami ki umeed hai. Duniya ke baqi central banks interest rate kam kar chuke hain, America bil aakhir rate kam kar raha hai, yeh Pakistan samet duniya ke liye positive khabar hogi.
Syed Hussain Haider ka kehna hai ke inflation kam ho rahi hai, crude oil samet commodities ki qeematein kam ho rahi hain, humein bhi apni progress behtar banane par kaam karna hoga.