Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeEconomyUpcoming Budget 2023-24, General Sales Tax (GST) 18% par Barqarar Rakhne ki...

Upcoming Budget 2023-24, General Sales Tax (GST) 18% par Barqarar Rakhne ki Suggestion

Islamabad: Finance Ministry ki janib se jari hone wale ek official statement ke according Federal Minister for Finance and revenue Senator Muhammad Ishaq Dar ne Monday ko finance division mein FBR ki taraf se pesh kiye gaye budget proposal par meeting ki. Minister of States for Finance and Revenue Dr. Aisha Ghous Pasha, SAPM baraye khazana Tariq Bajwa, SAPM an revenue Tariq Mahmood Pasha, Chairman RRMC Ashfaq Yousuf Tola, Secretary khazana, Chairman FBR, aur finance division aur FBR ke dosre senior officers ne meeting mein shirkat ki.

Chairman FBR Asim Ahmad ne federal budget 2023-24 ke budget proposal par detail presentation di. Finance Minister Senator Muhammad Ishaq Dar ne government ki taraf se business aur people-friendly budget provide karne ke azm dohraya hai. Unhon ne mazeed kaha ke government is baat ko yaqeeni banane ke liye committed hai ke new budget economic sector ke liye khush-haali laye aur various sectors mein resources equitably ki distribution ko yaqeeni banaye.

GST rate mein kami ka koi irada nahi hai, balke government withholding taxes rates mein izafa karne ke plan bana rahi hai jahan applicable ho aur tax revenue mein izafa karne ki salahiyat rakhti hai.

Government ne millions of people ko tax net mein shamil karne ke liye retailers ke liye amendment par bhi ghor kiye hain. Past mein aisi tamam schemes jo retailers ko lalach dene ke liye banai gayi thin, jo buri tarha se nakam ho chuki hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×