Wednesday, November 5, 2025
spot_img
HomeBusinessTRADE DEFICIT WIDENS BY 38% IN FIRST FOUR MONTHS OF FY2025-26 ...

TRADE DEFICIT WIDENS BY 38% IN FIRST FOUR MONTHS OF FY2025-26 DEFICIT RISES BY $3.47 BILLION COMPARED TO SAME PERIOD LAST YEAR

Karachi: Current fiscal year 2025-26 ke pehle chaar mah (July se October) mein tijarati khasaray mein 38 fisad izafa record kiya gaya hai.

Federal Bureau of Statistics ke jari kardah adaad-o-shumaar ke mutabiq, July se October tak tijarati khasaray ka hajm 12 arab 58 crore dollars se zyada ho gaya hai.

Report ke mutabiq, guzishta mali saal ke isi daur mein tijarati khasara 9 arab 11 crore dollars tha. Ibtidaai chaar mah mein mulki exports mein 4 fisad se zyada kami dekhi gayi hai.

Bureau of Statistics ke mutabiq July se October tak exports ka hajm 10 arab 44 crore 80 lakh dollars raha, jab ke is dauran imports mein 15.13 fisad izafa hua aur woh 23 arab dollars se tajawuz kar gayi.

Albatta, September ke muqable mein October 2025 mein exports mein 14 fisad izafa record hua.

Report ke mutabiq, October mein exports 2.49 arab dollars se barh kar 2.84 arab dollars tak pohanch gayi hain.

Monthly basis par tijarati khusaray mein 4.21 fisad kami dekhi gayi aur uska hajm 3.20 arab dollars raha.

September ke muqable October mein imports mein 3.57 fisad izafa hua aur woh 6 arab dollars se zyada ho gayi.

Report ke mutabiq, October 2024 ke muqable guzishta mah exports mein 4.46 fisad kami record ki gayi hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×