Tuesday, November 26, 2024
spot_img
HomeFinanceSTATE BANK OF PAKISTAN (SBP) NE NAYE BANKNOTE SERIES KE LIYE ART...

STATE BANK OF PAKISTAN (SBP) NE NAYE BANKNOTE SERIES KE LIYE ART COMPETITION SHURU KAR DIYA

Karachi: State Bank of Pakistan (SBP) ne naye banknote series tayyar karne ke liye Art Competition ka aghaz kiya hai, jisme local artists, designers, aur art students ko shamil hone ka moqa diya ja raha hai.

Is competition ka maqsad anay wale banknotes ke liye nayab aur theme-based design ideas gather karne hain. Participants aur cultural identities, demographic diversity, climate change aur environment protection, economic development, natural landscapes, architectural heritage, aur national symbols jese mukhtalif themes par designs submit kar sakte hain.

Competition mein shamil hone walon se tamam seven (07) mojooda denomination (Rs. 10, 20, 50, 100, 500, 1000, aur 5000) ke liye ya unme se kam denomination ke liye design submit karne ki ijaazat hai. Har banknote ke liye design ko safed kagaz par hard copy mein aur sath hi us design ki tafseelat ko English ya Urdu mein 100 words se ziada ka write-up ke sath submit karna hoga.

Har banknote denomination ke liye alag aur aasani se pehchanne wale rang istemal karna zaroori hai. A panel jisme mashhoor artists shamil hain, designs ko tajziya karenge aur har denomination ke liye top teen (03) designs ko SBP ke liye muntakhib karange.

Pehla, doosra, aur teesra design har denomination ke liye Rs.1,000,000, Rs.500,000, aur Rs.300,000 inaam hasil karenge. Shirkat karne walon ko yaad dilaya jata hai ke unki submit kiye gaye designs mein kisi bhi copyright ya zimmedari ka dawa na ho.

Jury ke afrad, SBP aur uske subsidiaries ke employees aur unke ghar walay is Art Competition mein shirkat ke liye moaquif nahi honge.

Submit kiye gaye designs SBP ki malkiat ban jayenge aur SBP ko azadi ho ga ke woh in designs ko ya inki tabdili ko banknote designing ke maqsad ke liye bina kisi mazeed tanazur ke share kare.

Art Competition ke mutaliq kisi bhi sawalat aur details ke liye, barah-e-karam hamse 11 March 2024 tak rabta karen.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×