SIFC ki assistance se Pakistan ke mineral sector mein aik naya inqalab layaa ja raha hai aur Balochistan ki taraqqi ki bunyaad mazboot ho rahi hai.
Tafseelaat ke mutabiq Balochistan mein jadid bunyaadon par mineral processing ke liye Pak–China joint venture ka ba qaida aghaz kar diya gaya hai.
CPEC ke tehat Chinese company Guangdong Hundor aur Sanjrani Mining Company ke doran mineral development project ka muahida final ho gaya hai.
Behtar aur mo’asser processing se production ki miqdaar aur quality dono mein izafa hoga, jab ke CPEC ke taraqqiyati objectives ke mutabiq yeh project Pakistan ki maashi stability mein aham kirdar ada karega.
Mahirin ka kehna hai ke is project ki kamyabi se doosri foreign investment bhi mineral aur industrial sectors ki taraf rujhan karegi. SIFC ki sahulatkari se CPEC projects Balochistan aur mulki ma’eeshat ke liye game changer sabit ho sakte hain.




