Monday, December 23, 2024
spot_img
HomeBusinessSIEMENS KA APNI COMPANY MEIN CONTROL MAZEED MAZBOOT, SHAREHOLDING 88.51% TAK POHANCH...

SIEMENS KA APNI COMPANY MEIN CONTROL MAZEED MAZBOOT, SHAREHOLDING 88.51% TAK POHANCH GAYI

Siemens Aktiengesellschaft (S’AG), jo ke Siemens Pakistan Engineering Company Limited ki Parent Company hai aur 74.65% shareholding rakhti hai, ne National Investment Trust Limited (NIT) ke saath aik Share Purchase Agreement (SPA) mein entrance show ki hai.

Ye SPA 1 November 2024 ko sign hua hai jis me S’AG ne NIT aur uske under management funds ke pass rakhe hue shares (1,142,611 shares jo ke Company ke issued aur paid-up capital ka 13.85% hain) khareed liye hain.

Is transaction ke baad S’AG ka total shareholding 88.51% ho gaya hai. Yeh deal kuch important details ke sath report ki gayi hai:

Date: 1-November-2024
Price per Share: Rs. 1,516
Total Shares: 1,142,611
Total Deal Value: Rs. 1,732,198,276
Type: CDC Purchase (Non-Deliverable Market – NDM)

Transaction ka settlement applicable Pakistani laws ke mutabiq due course mein complete kiya jayega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×