Monday, January 20, 2025
spot_img
HomeNationalSENATE CHAIRMAN YOUSUF RAZA GILANI MEETS AMERICAN AMBASSADOR: CALLS FOR STRENGTHENING TRADE...

SENATE CHAIRMAN YOUSUF RAZA GILANI MEETS AMERICAN AMBASSADOR: CALLS FOR STRENGTHENING TRADE TIES

Islamabad: Senate Chairman Syed Yousuf Raza Gilani ne American Ambassador Donald Blome ke saath mulaqat mein United States (US) ke saath  trade volume barhane ki zarurat par zor diya.

Mr. Gilani ne guftugu mein trade volume ko barhane ke liye ziada taawun ki zarurat par zor diya aur American Ambassador ko Parliament House mein amad ka shukriya ada kiya.

Dono mulkun ke darmiyan aham tarde participation ko pehchante hue, Senate chairman ne US ko Pakistan ka bara Commercial Neighbour qarar diya aur American Government ka mukhtalif sectors mein taawun ke liye shukriya ada kiya.

Mister Gilani ne Gaza mein jung bandi ki bhi wakalat ki aur kaha “yeh waqt Falasteen mein aman ka hai aur Gaza mein jung bandi ki zaroorat hai”.

Mulaqat ke doran, Pakistan aur United States ke darmiyan Circle friendship ke mukhtalif pehluon par detailed discussions hui. 

American Ambassador Donald Blome ne Syed Yousuf Raza Gilani ko Senate chairman ke intekhab par mubarakbad di aur unhe kamyabi ki umeed di.

Dono ne business and education hasil karne walon ke liye America ke visa hasil karne ke rukawat ke bare me bhi negotiate kiya.

Senate ki taraf se jari ek bayan mein, Yousaf Raza Gilani ne Pakistan ke enduring friendship” ko farogh dene ka azam zahir kiya aur dono mulkon ke darmiyan Parlimani taluqat ko mazeed behtar banane ki ahmiyat par zor diya.

Dono ne Parlimani rabton ki ahmiyat par bhi guftagu ki, jahan Senate chairman ne appreciate kiya ke US Congress mein doosri taraf strong Parliamentary Caucus mojood hai jo dono mulkon ke darmiyan taluqat ko farogh dene ke liye kaam karta hai.

“Seneate ke taza intekhabat ke natije mein dosti group ko dobara tayyar kar rahe hain. Yeh hamen aapas mein faidamand taluqat ko barhane aur Parlimani shafqat ko mazbooti denay ka moqa dega,” Mr. Gilani ne kaha.

Donald Blome ne naye ma’ashi team ko saraha aur Pakistan aur International Monetary Fund (IMF) ke darmiyan jari muzakrat par ummid-e-khair ka izhar kiya.

Unho ne Pakistani ma’ashi team ki koshishon ko tareef ki aur Pakistan aur America ke darmiyan mazeed taawun ke liye imkanat ko wazeh kiya.

Mutasir ma’ashi isharon ko tasleem karte hue, Blome ne mehngai mein kami aur high dollar reserves ki taraf ishara kiya, kehte hue ke IMF ke positive feedback se investors ko hosla milay ga.

Unho ne Pakistan mein Promotion ki gaming industry ki taraf ishara kiya aur digital sector mein ziada taawun ki darkhwast ki.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×