Rawn mali saal ke pehle 6 mah mein 21 hazar 600 se zyada new companies register — sarmayakaron ka aitmaad barh gaya
Securities and Exchange Commission of Pakistan (SECP) mein rawan mali saal ke pehle 6 mah (July se December 2025) ke darmiyan companies ki registration mein numaya izafa record kiya gaya hai. Is dauran SECP ke tehat 21,668 new companies ka indaaj hua.
SECP ke bayaan ke mutabiq itni bari tadaad mein companies ki registration sarmayakaron ke aitmaad mein wazeh behtri ko zahir karti hai, jabke pichle saal ke muqablay mein registration mein 29% izafa dekha gaya.
Bayan ke mutabiq new companies ki janib se 30 arab 70 crore rupay ka paid-up capital jama karwa diya gaya, jab ke mulk mein registered companies ki kul tadaad barh kar 2,79,724 ho gayi hai.




