KARACHI: Governor State Bank of Pakistan, Jameel Ahmad, ne Pakistan Banking Summit 2025 ke doran kaha ke mulk mein financial deepening aur climate-resilient financing barhane ke liye technology ka barh chadh kar istemal karna zaroori hai.
Unhon ne kaha ke kisi bhi mulk ki sustainable economic growth us waqt tak mumkin nahi jab tak private credit ka level kam hoga. Is liye, unhon ne banks ko apna business model dobara dekhne, apni priorities ko reassess karne aur financial intermediation mein zyada active role ada karne ka mashwara diya.
Governor SBP ne Strategic Vision 2028 par bhi roshni dali jo financial services ko inclusive aur sustainable banane, digital financial ecosystem ko barhawa dene aur financial system ki efficiency, fairness aur stability ko behtar banane par focus karta hai.
Unka kehna tha ke financial inclusion ko SBP ke amended Act ka hissa banaya gaya hai jo iski ahmiyat ko wazeh karta hai. Unhon ne bataya ke mulk mein financial inclusion ke hawale se aham taraqqi hui hai, jahan 2018 mein sirf 47% adult population ke pass bank account tha jo ab barh kar 64% ho gaya hai, jab ke gender gap bhi 47% se 34% tak kam hua hai.
Unhon ne National Financial Inclusion Strategy 2024-2028 ka zikr karte hue kaha ke SBP ka target hai ke 2028 tak 75% adult population ko banking system mein shamil kiya jaye aur gender gap 25% tak kam kiya jaye.
Jameel Ahmad ne bankon ko SMEs aur agriculture sector ko zyada credit dene ka mashwara diya. Unka kehna tha ke filhal 74% lending established corporates ko jati hai jab ke sirf 5% SMEs ke liye hai, jo ke behtar hone ki zaroorat hai.
Unhon ne bankon ko artificial intelligence aur alternate data sources (jaise ke cellular aur satellite data) ko istemal karne ka mashwara diya taake financial services SMEs, agriculture aur khawateen tak zyada asani se pohonchai ja sakein. Saath hi, unhon ne businesses ko apne payments ko digitize karne aur secure digital platforms par shift hone ka mashwara diya.
Governor SBP ne financial institutions ko climate change ke asrat ka behtar andaaz lagane aur apni credit, market, liquidity aur operational risk assessment ko mazid behtar banane par bhi zor diya.
Unka kehna tha ke sustainability challenges se nimatne ke liye businesses aur academia ka mil kar research aur policy recommendations tayar karna bhi zaroori hai.
Jameel Ahmad ne umeed ka izhar kiya ke Pakistan Banking Summit 2025 mein honay wale discussions mulk ko sustainable aur equitable financial future ki taraf barhane mein madadgar sabit honge.