State Bank of Pakistan ne ‘Banking on Equality’ policy, khawateen ko business mein shamil karne aur gender equality ke liye introduce karwai thy, Ab is amal mein izafay ke baray mein mazeed kam kiya ja raha hai.
State Bank of Pakistan (SBP) ke Governor Mr. Jameel Ahmad ne is mawqe par izhar kiya hai ke yeh koshishen mukamal hokar aur bhi tafseelat aur imkanaat laane ka irada hai. Yeh policy 2024 tak aur ziada areas mein apply ki jayegi. Jis se khawateen mazeed empower ho sakty hen.
Pakistan ke banking sector mein recently 37,000 se zyada khawateen mojood hain, jo ke total workforce ka 15% hai. SBP ne apna azm zahir kiya hai ke yeh ratio 2024 tak 20% tak pahunchaye jaye ga, jis se gender mein barabari aur inclusion ko support milay gy.