Sunday, April 6, 2025
spot_img
HomeBusinessSBP AUR TAMAM BANK IDARAY 9 NOVEMBER KO IQBAL DAY KI CHUTTI...

SBP AUR TAMAM BANK IDARAY 9 NOVEMBER KO IQBAL DAY KI CHUTTI MANAYENGE

Karachi: Allama Iqbal ke 147wen yome paidaish ke moqe par State Bank of Pakistan (SBP) aur tamam banking aur financial institutions 9 November, 2024 ko public holiday observe karenge. Yeh chutti hukoomat Pakistan ki taraf se Allama Iqbal Day ke tor par manane ka faisla hai.

Circular ke mutabiq, “State Bank of Pakistan Saturday, 9 November 2024 ko chutti par rahega, jo ke Government Pakistan ne Allama Iqbal Day ke moqe par declare ki hai,” yeh circular SBP ke Banking Policy aur Regulations Department ne jari kiya.

Mashhoor shair aur mufakkir Dr. Allama Muhammad Iqbal, jo ke “Shair-e-Mashriq” aur “Mufakkir-e-Pakistan” ke laqab se bhi mashhoor hain, ne apni shairi aur tafakkur ke zariye Muslim ummah ko ek naye jazba aur soch ka paighaam diya. Iqbal ne apni shairi mein khudi, ishq, aur azadi ka dars diya jo musalsal taraqqi aur khud-agahi ke taraf buland kartay hain. Unka kalam hamari qoumi pehchaan aur azadi ka ahem hissa ban chuka hai aur har naye dor ke liye raahnuma hai.

Iqbal ka mashhoor shair:

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochay, bata teri raza kia hai 

Tamam banks, Development Finance Institutions (DFIs), aur Micro Finance Banks (MFBs) bhi 9 November ko chutti par rahenge taake Allama Iqbal ke khayalat aur unke di gayay paighamat ko yaad kiya ja sake.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×