Thursday, September 19, 2024
spot_img
HomeTechnologySAUDIA ARABIA AUR PAKISTAN KE DARMIYAN IT SECTOR KO STRENGTHEN KARNE KE...

SAUDIA ARABIA AUR PAKISTAN KE DARMIYAN IT SECTOR KO STRENGTHEN KARNE KE LIYE SIGN HUA MOU

Riyadh: Saudia Arabia aur Pakistan ne Riyadh mein aik MoU par dastakhat kiya hai, jiska maqsad communications aur information technology mein cooperation ko barhana hai.

Is MoU ke zariye digital transformation, innovation, aur digital infrastructure ki taraqqi per zor dia jayega.

MoU ka purpose important aspects mein aik taskforce ko qaim karna, SMEs aur start-up ecosystems ko mazboot karna hai.
Isi tarah policies, regulations, aur legislation mein Cooperation bhi Zair-e-ghour hai.

Yeh taawun E-Governance, smart infrastructure, aur emerging technologies jese AI, IoT, robotics, cloud computing, aur blockchain tak spreaded hai.

Is MoU ke zariye digital infrastructure ko behtar banane par bhi kaam hoga.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×