Saudi Arab ke Foreign Minister Faisal bin Farhan Al Saud ki leadership mein Saudi investors aur economic experts ka high-level delegation 15 April ko Pakistan ka dorah karega.
Delegation, Pakistan mein mukhtalif shehron mein taqreeban 5 billion dollars ki investment ke imkaanaat par guftagu karega, jin mein Reko Diq, Diamer Bhasha Dam, aur chhoti oil refineries ki expansion shaamil hain.
Saudi Arab ke Wali-e-Ahad Mohammad bin Salman ki bhi May mein Pakistan aamad mutawwaqa hai, jahan in agreements ko aakhri shakal di jayegi aur Pakistan mein Saudi investment ka aaghaz hoga.
Wazir-e-Azam Shahbaz Sharif ke haaliya dorah Saudi Arab ke baad yeh delegation Pakistan aaraha hai. Is doray ka maqsad dono mumalik ke darmiyan economic cooperation ko mazboot karna hai. Saudi investment Pakistan ki Economic development ke liye aham sabit hogi.