Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeArticlesROTARY INTERNATIONAL PAKISTAN, INSANIYAT KI KHIDMAT ME SAB SE AAGAY

ROTARY INTERNATIONAL PAKISTAN, INSANIYAT KI KHIDMAT ME SAB SE AAGAY

Karachi 06 May 2023: Pakistan me Rotary International ko kaun nai janta, agar hum ye kahen kay Puri duniya me Khidmat e Insaniyat me Rotary sab se aagay hai to galat na hoga.

Karachi Korangi Industrial Area me Rotary club or Indus hospital kay collaboration se blood donation camp ka arrangement kia gaya jis ka maqsad, Cancer or Thellesmia kay bachon kay liye blood arrange karna tha.

Camp ka Inauguration Rotary International Pakistan kay DG Muhammad Hanif Khan, CPLC Chief Muhammad Zubair Habib or Founder and President Indus Hospital Dr. Abdul Bari ne kia. Dosray Mehman e khusoosi me Past District Governor Rotary Pakistan Dr. Farhan Essa CEO Essa Labs, District Secretary Asif Mukaty, Pakistan’s 1st Urdu Roman News Platform kay Founder & Editor-in-Chief Muhammad Noman, Chairman ABAD (SR) Mr. Raheel Rich, Aaj News kay anchor Rizwan Jaffer or dusri personalities ne shirkat ki.

Camp kay inauguration kay mokay per Dr. Abdul Bari ne Indus Hospital ki starting journey kay experience ko share kiya or participants ko encourage kia kay wo bhi is tara kay Kheir kay kaam me barh charh kay hissa len, jis kaam kay liye Allah aap ko chunta hai wo koi chota kaam nahi hota aur aap Hamare Nabi ki sunnat pe hotay hain.

CPCL Chief Muhammad Zubair Habib ne bhi CPLC ki progres share kartay huway bataya kay Karachi ko Mini Pakistan kaha jata hai or CPLC ka Karachi me street crime against bohat bara role hai mazeed bataya kay CPLC call centre daily 5000 calls receive karta hai or ab tk 15,500 kidnaping kay casses solve kar chuka hai.

District Governor Muhammad Hanif Khan ka kehna tha kay Rotary Pakistan Insaniyat ki khidmat mein sabse aage hai or zindagi kay har shobay me Rotary apna role play kar raha hai, is mokay per unhun ne Indus Hospital ko promise kia hai kay wo 1000 volunteer dengay or ek fund raising drive start karenge.

Chairman ABAD (SR) Raheel Rinch ne kaha kay aanay walay kuch waqt me ABAD, Indus hospital or CPLC kay sath mil kay baray programs organise karega jis se Insaniyat ki khidmat ko mazeed behtar tarike se kiya ja sakay ga.

Blood donation camp kay host Danish Aman Director Hafiz Tannery ne kaha kay is camp ka maqsad Insaniyat ki khidmat or collaborations kay mokay farnham karna hai kay hum sab apna role play kar saken Pakistan ki khidmat karne me, Danish Aman ne Mehmaano kay liye Lunch or high tea ka arrangement kia huwa tha.

Reported by:
Muhammad Noman
Founder & Editor-in-Chief
Pakistan’s 1st Urdu Roman News Platform

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×