Monday, October 14, 2024
spot_img
HomeEconomyRETAIL SHOPKEEPERS KO TAX NET MEIN LANAY KE LIYE 'TAJIR DOST' APP...

RETAIL SHOPKEEPERS KO TAX NET MEIN LANAY KE LIYE ‘TAJIR DOST’ APP TAYYAR

Islamabad: FBR ne tajiroun ko tax net mein lane ki scheme final karli, scheme ke tehat election se pehle tajiroun ke liye retailer scheme mutarif karane ka faisla kiya gaya hai. 

According to media, FBR ne scheme par amal daramad karne ke liye tajiroun ki registration ke liye ‘Tajir Dost’ mobile app tayyar kar li hai, mobile app ke tehat tax net se bahir tajiro ko Tajir Dost app ke zariye register kiya jayega. 

Is app ke zariye dukandaron ki aamdani ka record FBR ko munsalik hoga. Sources ke mutabiq dukandaron par saalana aamdani ke mutabiq tax apply ho ga jise maahana wasool kiya jayega. I

s scheme se Islamabad, Karachi, Lahore, Peshawar aur Quetta mein retailers se 100 arab rupees tax amdani expected hai, jabke dusre marhalay mein dosre shehron ke tajiro ki registration shuru ki jayegi jis ke tehat mulk bhar ke retailers par tax lagaya jayega jis se taqreeban 300 arab se zyada amdani expected hai. 

Dukan ke size aur saalana aamdani par tax ada kiya jayega jo maahana bunyad par jama hoga. Is scheme ke tehat tamam shobon se mansookh karobar aur afrad par tax apply kiya jayega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×