Friday, October 24, 2025
spot_img
HomeBusinessQATAR KA 3 BILLION DOLLAR KI NAYI SARMAYAKARI KA AILAN, PAK-QATAR TA’AWUN...

QATAR KA 3 BILLION DOLLAR KI NAYI SARMAYAKARI KA AILAN, PAK-QATAR TA’AWUN PAR NAYE MOU’S SIGN🇵🇰🤝🇶🇦

Islamabad:
Qatar ne Pakistan me $3 billion ki investment ka aik baar phir irada (reaffirmation) kiya hai. Dono mumalik ke darmiyan economic aur technical cooperation ke kai protocols par dastakhat hue hain.

Ministry of Economic Affairs ke bayan ke mutabiq, 6th Pakistan–Qatar Joint Ministerial Commission (JMC) ka ijlaas Islamabad me hua — jisme Federal Minister for Commerce Jam Kamal Khan aur Qatari Minister of Commerce Sheikh Faisal bin Thani Al Thani ne shirkat ki.

Ijlas me dono taraf se SIFC aur Qatar Investment Authority ke darmiyan direct cooperation mazid mazboot karne, aur culture aur media sector me “Year of Culture” program shuru karne par ittefaq hua.

Dono mumalik ne film, drama aur cultural productions me joint kaam ki hosla afzai ki, jabke transport sector me electric, automated aur hydrogen vehicles ki technology par bhi ta’awun par baat hui.

 

Qatar ne motorway aur infrastructure projects me investment ke imkanaat par bhi dilchaspi ka izhar kiya.

Ijlas me ye bhi faisla hua ke Pakistan–Qatar aviation authorities ke darmiyan mashawarti meeting jald bulai jayegi, aur education aur training ke liye executive program tayar kiya jayega.

Iske ilawa, Qatar Science & Technology Park aur Pakistan Special Technology Zones Authority (STZA) ke darmiyan partnership par zor diya gaya, jabke skilled Pakistani workforce ke liye naye Labour MoU par bhi guftagu hui.

Dono countries ne ye ittefaq kiya ke JMC ke faislon par amal daramad ke liye mutawatar rabta barqarar rakha jayega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×