Karachi: Financial Acumen ne Pakistan Stock Exchange (PSX) mein ek shandar seminar ka intezam kia, jo investor education aur financial literacy ko promote karne ke liye ek aham step hai. Business aur finance industry ke mashhoor logon ne is event mein shirkat ki aur audience ko valuable insights di.
Seminar ki Highlights
- Ms. Raeda Latif ne IPOs (Initial Public Offerings) par ek detailed aur informative briefing di. Unhone stock market mein investment opportunities ke bare mein audience ko agah kia.
- Mobashar Sadik, jo Institute of Financial Markets of Pakistan (IFMP) ke CEO hain, unhone students ke liye IFMP ki free certifications provide ki. Yeh qadam youth mein financial literacy ko promote karne ke liye bohot aham hai.
- Munir Khanani, financial markets ka mashhoor naam, aur Munir Khanani Securities ke Owner, ne audience ko stock market dynamics aur investing strategies par valuable guidance provide ki.
- Bilal Farooque Zardi, jo Pakistan Stockbrokers Association (PSBA) ke CEO aur PSX ke board member hain, unhone audience ke sawaalon ke jawab diye aur practical solutions provide kiye.
Guest Speakers:
- Dr. Aftab Imam, Executive Director State Life Corporation of Pakistan aur District Governor (2021-22), Rotary International, ne seminar mein “Four-Way Test of Rotary” ka zikr kia. Unhone financial acumen ki importance par roshni dali, youth aur communities ke liye is tarah ke initiatives ke impact ko emphasize kiya.
- Syed Kashif Rafi, Registrar ILMA University aur Assist. Coordinator Rotary International Zone 1-B, ne financial acumen pe baat karte hue kaha ke youth ka bohot important role hai. Unhone ILMA University aur Financial Acumen ke darmiyan future collaborations ka bhi zikr kia, taake financial literacy aur entrepreneurship ko promote kiya ja sake.
- Fawad Shaikh, President Pakistan Business Group (PBG), ne detail mein baat ki aur apne initiative Bano Karobari, jo ke entrepreneurship ko foster karne ka platform hai, ke sath Financial Acumen ke collaborations ka irada zahir kiya.
Guest of Honors
Abdul wahab Edhi, Junaid ur Rehman, Shahzad Mubin, Dr. Raja Rehan, Khurram Anis, Nasir Ali Shaikh, Abdul Wahab Edhi, Kashif Shaikh, Rubina Kausar, Ms. Ana Haider, Adil Malik, Shahzad Mubin, Anis Yonus Arfa, Rashid Ahmed Siddiqui, Junaid Naqi, Altaf Tai, Aadil Mianoor, Aamir Burney, Dewan Mushfiq Farooqui, Adnan Saeed, Yaseen Younus, Razzaq Pardesi, Majeed Aziz, Zohaib, Moiz bin Zahid, Syed Rafay Mazhar, Ms. Rizwana Shahid, Zafar Rafique, Shahbaz Ali Malik, Ahmed Bhumbiya, Waqas Jawaid, Noman Akhtar, Aamir Chottani, Sheryar, Talha Farrukh, Zahid Hameed, Subhan Mirchawala.
Seminar ke Intezam Mein Ahm Shakhsiyat
Muhammad Noman, jo ke Financial Acumen ke Board of Directors mein shamil hain aur Founder & CEO Umm-ul-Aaima Group of Companies aur Pakistan’s 1st Urdu Roman News ke Founder hain, is seminar ke key person the. Unki leadership aur vision ne is initiative ko na sirf possible banaya, balke financial literacy ko promote karne ke liye ek misaal bhi qaem ki. Unhone audience ke sath apni expertise share karte hue kaha ke Pakistan ki economic growth ke liye aise projects critical hain, aur unka mission hai ke har shakhs apni financial understanding mein izafa kare.
Yeh seminar Financial Acumen ke Board Members, Muhammad Noman, Kiran Noman, Saif Antaria, aur Rashida Kausar ki rehnumai mein organize hua. Event ke team members Imran Shaikh, Murtaza Rajab Ali, Ukesh Kumar, Abdul Rehman, Kuasar Abdullah, Rashida Ezzi, aur Ali Asghar ne bhi apne efforts se is event ko successful banaya.
Seminar mein Financial Acumen kay participants ko IFMP ki taraf se participating certificates bhi issue kiye gae.
Yeh seminar ek misaali qadam tha jo financial education ko aam logon tak le jane ke liye ek platform ke tor par serve karega.
Report by Ms. Kiran Noman, Co-Editor of Pakistan’s 1st Urdu Roman News