Islamabad: Hukoomat ne Qaumi Bachat Schemeon ke munafe mein tabdeeli ka elan kar dia hai.
Ministry of Finance ke jaari karda notification ke mutabiq Special Saving Certificate ka munafa 11.60% tak barha dia gaya hai, jab ke Regular Income Certificate ki sharah munafa 10.92% muqarrar ki gayi hai.
Nayi sharah munafa ka itlaq 4 November 2025 se ho chuka hai.
Short Term Saving Certificate ke teen aur aik saala munafe mein izafa kiya gaya hai, jahan teen maheene ki muddat ka munafa 10.44% aur aik saal ka 10.64% rakha gaya hai.
Ministry of Defence yani Defence Saving Certificate ke munafe mein wazeh kami ki gayi hai.
Bahbood Saving Certificate ki sharah 13.44% se kam kar ke 12.72% kar di gayi hai, jabke Pensioners Benefit Account aur Shuhada Family Welfare Account ka munafa bhi 12.72% muqarrar kiya gaya hai.
Saving Account ki sharah munafa 9.50% par barqarar hai, jabke Sarwa Islamic Term Accounts ke teen aur paanch saala munafe mein izafa hua hai.
Haalanki aik saala Sarwa Islamic Account ki sharah 9.92% aur Sarwa Islamic Saving Account mein koi tabdeeli nahi ki gayi.




