ISLAMABAD, 9 June 2023: Karachi mein 2023 ka pehla (1st) wild poliovirus confirmed hogaya hai jiska sample Sohrab Goth se liya gaya tha.
Pakistan Polio Laboratory jo kay National Institute of Health me mojud hai kay mutabiq sample 15 May ko liya gaya tha jis ki genetic sequencing abhi aana baki hai.
Last positive sample Karachi me August 2022 ko landhi district malir se mila tha.
Federal Minister for Health Abdul Qadir Patel ka kehna hai kay Pakistan Polio Eradication pe kaam kar raha hai or hum healthier future dekhtay hain Pakistani bachon ka.
Minister ka kehna hai kay Polio eradication National responsibility hai and Parents ko lazmi bachon ko polio vaccine repeat karwatay rehna chaiye jis se bachon ki immunity boost ho.
Virus detection karachi me koi unexpected baat nai, kyun kay Karachi se awaam ki frequent movement rehti hai puray Pakistan me.
Polio Programme kamyabi se virus ko khatam karnay ki koshish kar raha hai Southern districts of Khyber-Pakhtunkhwa or kareebi areas me.