Prime Minister Shehbaz Sharif ne aaj Saudi Foreign Minister Prince Faisal bin Farhan Al Saud se Islamabad mein mulaqat ki. Saudi delegation ki visit par Prime Minister ne Saudi leadership ka shukriya ada kiya aur apni sincerest wishes Custodian of the Two Holy Mosques His Majesty King Salman bin Abdul Aziz Al Saud aur Crown Prince Mohammed bin Salman bin Abdul Aziz Al Saud tak pahunchayi.
Mulaqat ke dauran, dono mulkon ke darmiyan economic aur strategic rishte mazboot karne par baat cheet hui. Prime Minister ne Special Investment Facilitation Council (SIFC) ke initiatives aur investment promotion par zore diya, jahan Chief of the Army Staff General Syed Asim Munir ka bhi key role hai.
Saudi Foreign Minister ne bhi apne delegation ko milne wali garam joshi par shukriya ada kiya aur Pakistan ke sath apne strategic aur economic partnership ko mazboot karne ka irada zahir kiya. Dono rehnumaon ne occupied Palestinian Territories mein surate hal par bhi baat cheet ki.