Prime Minister Shahbaz Sharif ne National Assembly mein apni pehli taqreer ki jis mein economic revival ki baat ki.
Key Points:
- Power circular debt ab Rs2.3 trillion tak pohanch gaya hai. Rs3.8 trillion ki electricity taqseem hoti hai lekin sirf Rs2.8 trillion wasool hota hai, Rs1 trillion (US$3.5bn) ka farq hai.
- Gas ka circular debt ab Rs2.9 trillion tak hai, costly RLNG ki wajah se.
- SOEs mil kar Rs600bn ka loss bear kar rahe hain.
- Tax net ko technology se barhaya jayega.
- Tax refund ka process 10 dinon mein mukammal hoga.
- Saudia Arabia, UAE, Turkey aur Qatar ke saath Pakistan ke strong bonds barkarar rahenge. Pakistan apne strong historical relations ko USA ke saath theek karenge aur Iran ke saath bhi relations jari rakhenge.
- Tax net ke andar na aane wale segments ko system mein shaamil kiya jayega taa ke mojooda taxpayers par tax ka bojh kam ho.
- Banks ko khaas segments ke loans dene ke liye direction di jayegy taa ke business aur growth ko barhaya ja sake. Banks ko SMEs ko encourage karne mein apna hissa dalna hoga, sirf T-Bills mein nahi invest karna hoga.