Aik aisa move jo Pakistan ki inflation mein mazeed izafa kar sakta hai, government petrol ke petroleum products levy rates ko record level tak, i.e Rs.60 per liter tak barhane ka tasawwur kar rahi hai. Ye increase government ka plan hai jis ka maqsad anay wale financial year mein approximately Rs 2.9 trillion non-tax revenues generate karna hai.
Ye levy rate mein izafa karne ke liye fiscal space create karna chahti he, kyun ke government ne pensions payment aur civil government ke functioning par peshgi ke mutabiq is saal ke asal budget ke muqable mein 30% izafe ki umeed rakhi hai.
Ministry of Finance ne levy rate ko par liter par mazeed Rs10 tak barhane ka suggest kiya hai takay fiscal year 2023-24 ke doran is source se approximately Rs870 billion ikhraj kiya ja sake, Express Tribune ki report kay mutabiq.