Monday, November 10, 2025
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN’S INVESTMENT POTENTIAL AT RISK DUE TO CONSTANT POLICY SHIFTS

PAKISTAN’S INVESTMENT POTENTIAL AT RISK DUE TO CONSTANT POLICY SHIFTS

Islamabad:  Pakistan me ghair mulki sarmaiyakari par aik nai behas us waqt ubhri hai jab kai almi companies ne mulk se nikalne (exit) ka faisla kiya aur nai investments me kami dekhi ja rahi hai.

Mahireen ke mutabiq, Pakistan ka masla resources ya market size nahi, balkay policies ki ghair yaqini aur idaron ki instability hai.

Tajziyat ke mutabiq, sarmayakar un mulkon ko tarjeeh dete hain jahan lambi muddat ka stability, transparent laws aur reliable agreements hoon. Vietnam, Bangladesh aur Malaysia ne policy continuity ke zariye investors ka bharosa jeeta, jabke Pakistan me laws aur incentives bar bar badalne se investors ka trust kam hua hai.

Mahireen ka kehna hai ke Pakistan ko paiedaar sarmayakari ke liye 6 buniyadi qadam uthana honge:

Policy predictability, transparent tax system, profit repatriation ki asaani, exports par focus, dispute resolution ka tez mechanism, aur idaraati stability.

Unka kehna tha ke duniya Pakistan ki potential se waqif hai, lekin ab Pakistan ko apne nizaam me bharosa aur predictability paida karni hogi taake is potential ko haqeeqat me badla ja sake.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×