Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeFinancePAKISTAN’S GOVERNMENT DEBT FALLS BY RS.765BN — FINANCE MINISTRY HAILS MAJOR FISCAL...

PAKISTAN’S GOVERNMENT DEBT FALLS BY RS.765BN — FINANCE MINISTRY HAILS MAJOR FISCAL IMPROVEMENT

ISLAMABAD: Finance Minister ke Adviser Khurram Shehzad ne kaha hai ke Pakistan ki Federal Government ke total debt mein August 2025 tak 765 arab rupay ki kami hui hai. Unke mutabiq ye hukoomat ki behtareen financial management aur kharchon par control ka result hai.

Finance Minister ne apne bayaan mein kaha ke ye kami economic stability ki taraf ek positive qadam hai, jo GDP ke ratio ke lehaz se bhi behtari dikhati hai.

Khurram Shehzad ne kaha ke ye improvement hukoomat ke financial discipline, Prudent borrowing and wise economic policies ki wajah se mumkin hui.

Unho ne ye bhi kaha ke ye policy na sirf long-term debt stability ke liye madadgar hai, balkay local aur foreign investors ke confidence ko bhi mazboot kar rahi hai.

Finance Minister ke mutabiq, ye behtari Pakistan ki economy ke liye ek achi nishani hai aur mustaqbil mein debt pressure kam karne mein madad degi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×