Thursday, September 19, 2024
spot_img
HomeEconomyPakistan's Financial Woes Deepen: MASSIVE LOSSES EXCEEDING 4.3 TRILLION RUPEES IN FIRST...

Pakistan’s Financial Woes Deepen: MASSIVE LOSSES EXCEEDING 4.3 TRILLION RUPEES IN FIRST 9 MONTHS OF FISCAL YEAR 2023

Pakistan ke financial losses ne 24-2023 ke pehle 9 mah mein 4337 Billion tak pohncha, jab keh expenses 9651 Billion se zyada ho gaye.

Islamabad: Finance Ministery ki report ke mutabiq, initial 9 months mein financial losses 4337 Billion tak barh gaye. Is doran loans par interest ki mad mein 5517 Billion tak kharch ho gaye.

FBR ne 9 months mein 6711 Billion tak tax jama kiya, aur subo ko 3815 Billion transfer kye gaye. July se March tak tax revenue 2416 Billion tak pohancha.

Petroleum levy se sarfeen se 719 Billion 59 crore rupay ki vasooli ki gayi, jo guzishta saal ke muqable mein 357 Billion zyada hai.

Government ke Current expenditure 9201 Billion se bhi zyada ho gaye, defense par 1222 Billion, Development projects par 454  billion kharch kiye gaye.

Subsidies par 473 Billion pension ki adayegi par 611 Billion se zyada kharch hue, jab keh Government ke civil affair chalanay par 9 months mein 518 Billion ke expense hue.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×