Monday, September 23, 2024
spot_img
HomeFinanceStock MarketPAKISTAN STOCK MARKET: SHARP DECLINE TO 62,657.61 FROM 65,132.03 HIGH

PAKISTAN STOCK MARKET: SHARP DECLINE TO 62,657.61 FROM 65,132.03 HIGH

Pakistan stock market mein aaj bhi decline dekha ja raha hai. Market ne apna high point 65,132.03 par pahuncha kar ab 62,657.61 per trade kiya hai, jisme 2,547.06 point ya -3.91% ka decline dekha gaya hai.

Experts ka kehna hai ke kuch bare brokers ne lagbhag 42 arab ke qareeb ke shares khareed rakhe hain, jo guzishta roz kam hokar private institutions tak pahunch chuke hain, aur ye 39 arab tak fall ho gaye hain.

Bare institutions ki taraf se shares ki selling jaari hai, jiski wajah se market mein thoda sa downfall nazar aa raha hai. Lekin yeh bhi yaad rakhein ke stock market mein ups and downs hote rehte hain.

Is situation mein investors ko hosla rakhna chahiye, kyun ki market ka trend kabhi bhi badal sakta hai. Kabhi-kabhi ye declines bhi new investments ka mauka ban sakti hain.

Investors ko chahiye ke apne investments ko monitor karte rahein aur agar un mein kisi bhi tarah ka concern hai toh financial advisors ki madad hasil karein. Yeh waqt bhi guzar jayega aur market mein phir se tezi aayegi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×