Saturday, April 5, 2025
spot_img
HomeFinanceStock MarketPAKISTAN STOCK EXCHANGE KA TAREEKHI BULL RUN – KSE-100 INDEX 120,000 POINTS...

PAKISTAN STOCK EXCHANGE KA TAREEKHI BULL RUN – KSE-100 INDEX 120,000 POINTS CROSS KAR GAYA, WAZIR-E-AZAM KA IZHAR-E-MUSARRAT

Islamabad, 4 April 2025: Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne Jumma ke roz Pakistan Stock Exchange (PSX) ke record tor izafay par izhar-e-musarrat kiya, jahan sirf ek din mein PSX 1800 points barh gaya aur KSE-100 index apni tareekh ke sab se unche 120,000 points ka maqam choo gaya.

PM Office se jari bayan ke mutabiq, Wazir-e-Azam ne kaha ke PSX mein is qadar tezi aur karobar ki musbat raftaar ye saabit karti hai ke investors ka bharosa hukoomati policies par barh raha hai. Unho ne kaha ke ye sirf aik maali izafa nahi, balki mulk ke maashi mustaqbil ke liye aik achi nishani hai.

Wazir-e-Azam ne khas tor par bijli ke nerkhon (power tariffs) mein hone wali numayan kami ka zikar kiya aur kaha ke ye sirf gharelu consumers ke liye nahi balki tijarati aur saniati (industrial) sector ke liye bhi ek bari relief hai. “Bijli sasti hone se karobar barhega, production cost kam hogi, aur naye investors ke liye Pakistan ek behtareen market banega,” unho ne izafa kiya.

Unho ne kaha ke pichle ek saal ke dauraan hukoomat ki behtar maashi policies aur macroeconomic stability ki wajah se mulk ke karobari mahaul mein sudhar aaya hai. “Jo bhi investors Pakistan ka rukh kar rahe hain, unhe ek behtar aur pur-aitemad market mil rahi hai,” unho ne kaha.

Wazir-e-Azam ne yakeen dilaya ke hukoomat mulk mein karobari asaniyan paida karne, naye sarmaya caron ko moqe dene aur investors ka bharosa barhane ke liye har mumkin qadam utha rahi hai. “Pakistan taraqqi ki taraf barh raha hai, aur hum chahte hain ke har shehri aur har tajir is taraqqi ka hissa bane,” unho ne kaha.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×