Monday, January 20, 2025
spot_img
HomeFinanceStock MarketPAKISTAN SECURITIES & EXCHANGE COMMISION NE SAHULAT EQUITY ACCOUNT KI LIMIT KO...

PAKISTAN SECURITIES & EXCHANGE COMMISION NE SAHULAT EQUITY ACCOUNT KI LIMIT KO PKR 1 MILLION TAK BARHA DIA

Pakistan Securities & Exchange Commission (SECP) ne Sahulat Account ke liye position limit ko PKR 800,000 se PKR 1,000,000 tak enhancement ka approval diya hai, jo immediately effective ho jayega.

Note kia jaye ke Sahulat Account/Simplified KYC par dusre tamam terms and conditions jo pehle mention kiye gaye the, woh sab applicable hain.

PSX ne Sahulat Account introduce kia hai, jo retail investors ke liye hai stock market mein utmost convenience and simplicity ke saath invest karna chahte hain. Investors sirf ek simplified account opening form fill kar ke and CNIC ki copy submit karke is account ko start kar sakte hain.

Sahulat Account, local investors ke liye ek ideal opportunity hai. Chahe aap ek student hon, housewife hon, novice investor hon ya kisi ko stock exchange mein shamil hone and invest karna chahte hon, Sahulat Account aap ke liye hai.

Sahulat Account holders apne account ko normal trading account mein kabhi bhi convert kar sakte hain.

Leveraged products mein trading, Jaise Margin Trading System, Margin Financing, Stock Lending Borrowing aur Negotiated Deals Market mein restricted hai, jisse investor ko unnecessary risk se save kia jata hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×