Islamabad: United Nations ke e-Government Index mein Pakistan ne 14th ranks behtari ke sath e-Governance mein 136th number par aa gaya hai.
United Nations ne e-Governance se mutaliq mamalik ki ranking jari kar di hai, jis me Pakistan e-Government Development Index mein pehli martaba aalaa category mein aya aur 14th rank bettetment ke sath e-Governance mein 136th number par aa gaya hai.
Documents ke mutabiq, 2 saal pehle 2022 mein Pakistan ka e-Governance Index 150 tha.
Documents mein bataya gaya hai ke Pakistan United Nation e-Participation Index mein 88th number par aa gaya hai, jab ke 2 saal pehle Pakistan e-Participation Index mein 106th number par tha.
Documents ke mutabiq, Pakistan ki e-Participation Value mein bhi behtari hui hai aur e-Participation Value 0.36 se barh kar 0.49 par pohonch gayi hai.
Is hawale se baat karte hue,Minister of State for Information Technology Shiza Fatima ne kaha ke e-Government ranking mein Pakistan ki 14th rank ki behtari hui hai, aur e-Government ke liye iqdamat par Prime Minister Shahbaz Sharif ke shukarguzar hain.
Shiza Fatima ka kehna tha ke e-Government ke liye Ministry of IT aur National IT Board ka kirdar bhi qabil-e-tahseen hai.