Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeNationalPAKISTAN NE CLIMATE FINANCING KE LIYE IMF SE DOBARA DARKHWAST KARNE KA...

PAKISTAN NE CLIMATE FINANCING KE LIYE IMF SE DOBARA DARKHWAST KARNE KA FAISLA KIYA

Islamabad: Pakistan ne climate financing ke liye IMF se phir se darkhwast karne ka faisla kiya hai.

Wazir-e-Khazana IMF aur Aalmi Bank ke salaana ijtima ke dauran 2 billion dollar climate financing ke liye darkhwast karenge. 

Zaraaye ke mutabiq, MD IMF se mulaqat ke doran Wazarat-e-Khazana ne climate financing ke hawalay se apni tayari mukammal kar li hai. Sad’r Aalmi Bank se mosmiati tabdeeli ke mansoobon par financing ke liye tafseeli guftagu hogi.

Pakistan ko MD IMF se final mulaqat ke baad 2 billion dollar tak ki climate financing milne ki umeed hai, jab ke pehli darkhwast ko IMF ne foran tasleem nahi kiya tha. 

Zaraaye Wazarat-e-Khazana ka kehna hai ke IMF officials ke sath qarz program ke hadaf par amal daramad ki pehli reports ka bhi jaiza liya jayega.

Wazir-e-Khazana, Secretary Khazana aur State Bank ke hukam IMF ke ijtima mein 26 October tak shirkat karenge, aur Wazir-e-Khazana haftay ke ikhtitam tak wapas laut aayenge.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×