Islamabad: Pakistan ko mali saal 2025-26 ke pehle 4 mah (July–October) mein bairooni zaraye se $2.29 billion ki rasai hui hai, jisme $2.24 billion qarz aur $50 million grant shamil hai. Economic Affairs Division ke mutabiq yeh madaad Rs 649.47 billion ke barabar hai.
Hukam ka kehna hai ke is dafa pehle 4 mah ki external financing pichle saal ki isi muddat ke muqablay mein 33% zyada rahi, jo mulk ki short-term funding needs ke liye aham tasawwur ki ja rahi hai.
🔹 Fund Flow Details
- Non-project aid: $1.51 billion
- Different projects: $773.2 million
- International institutions: $1.10 billion
- World Bank: $304 million
- Islamic Development Bank: $360 million (short-term loan)
- Naya Pakistan Certificates: $734.7 million investment
🔹 Bilateral Funding
Mukhtalif mumalik ne Pakistan ko $450 million faraham kiye:
- Saudi Arabia: $400 million oil facility
- Asian Development Bank: $167.4 million
- China: $9.7 million
- United States: $250,000 grant
Economic Affairs Division ke documents ke mutabiq, 2025-26 ke liye bairooni mali madad ka kul estimate $19.92 billion rakha gaya hai.
Maali mahirin kehte hain ke foreign inflows mein yeh izafa short-term stability ke liye positive signal hai, lekin long-term sustainability ke liye structural reforms ab bhi zaroori hain.




