Pakistan ki auto industry mein haal hi mein behtari dekhi ja rahi hai, aur is mein Special Investment Facility Council (SIFC) ka aham kirdar hai. SIFC ki madad se auto industry mein investment ka rujhan barh gaya hai.
Mulk mein passenger vehicles ki sales mein 46.7 percent ka izafa hua hai, jab ke trucks aur buses ki sales mein 82 percent behtari aayi hai. Isi tarah, jeeps aur pick-up vehicles ki purchases mein 60 percent aur motorcycles aur rickshaws ki sales mein 23.4 percent izafa record kiya gaya hai.
Environment-friendly electric vehicles bhi mulk mein mutarif karayi gayi hain, jin ki demand mein ghair mamooli izafa dekhne ko mila hai. Behtar auto financing aur market mein barhta hua confidence sales mein izafay ka sabab ban raha hai.
Auto industry mein taraqqi ki ek bari wajah State Bank of Pakistan ki taraf se interest rates mein tadriji kami hai, jis se interest-free financing ke zariye users aur investors ka confidence bahal ho raha hai.
SIFC ki sahulat kaari se interest rates mein mazeed kami aur naye models ke sabab se auto sales mein mazeed izafay ki ummid hai.