Monday, January 20, 2025
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN, IRAN BOOST ECONOMIC TIES, TRADE VOLUME TO $10 BILLION

PAKISTAN, IRAN BOOST ECONOMIC TIES, TRADE VOLUME TO $10 BILLION

Pakistan ke Prime Minister Shahbaz Sharif ne bataya he ke brother mulk Iran ke Sadar ne Pakistan ka pehla dora kiya. Irani Sadar Ibrahim Raisi ne kaha ke Iran aur Pakistan ke darmiyan economic aur Trade Volume qabil qabool nahi hain. “Dono mumalik ne 10 arab dollar tak Trade Volume ko barhane ka faisla kiya”.

Pakistan aur Iran ke darmiyan mukhtalif shobon mein cooperation agreements par sign kia gaya he.

Irani Sadar Raisi aur Pakistani Prime Minister Shahbaz Sharif ne is mein shirkat ki. Taqreeb mein Pakistan aur Iran ne 8 Agreements par sign kye gaye.

Prime Minister ne kaha ke Iran ke saath hamare tareekhi baradrana ta’alluqat hain aur security aur trade par Bilateral discussions hue.

Shahbaz Sharif ne kaha ke Iran ke log bohot khubsurat hain, aaj aap Islamabad aaye hain, aap bozurg Tehran se Islamabad aaye aur yeh bhi ek khubsurat shehar hai to yeh khubsurati ka ek husn mukabla pesh karta hai.

Iran-Pakistan taraqqi aur dosti ke raaste par aage barhne ka faisla kiya gaya hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×