Sunday, January 19, 2025
spot_img
HomeBusinessPAKISTAN BORROWED FROM IMF AT 5.09% INTEREST IN 2023; SENATE COMMITTEE DEMANDS...

PAKISTAN BORROWED FROM IMF AT 5.09% INTEREST IN 2023; SENATE COMMITTEE DEMANDS DETAILS ON LOAN UTILIZATION

ISLAMABAD: Senate Standing Committee on Economic Affairs ko agah kiya gaya ke Pakistan ne 2023 mein IMF se Stand-By Arrangement (SBA) ke tehat 5.09% ke high interest par qarz liya. Ye bayan Ministry of Finance aur State Bank of Pakistan (SBP) ke officers ne diya jo ke IMF se milne wale funds ki details par hui meeting mein shamil thay. 

Yeh meeting Parliament Lodges mein Committee ke Chairman, Senator Saifullah Abro ki sarbarahi mein hui. Committee ko information di gayi ke Pakistan ne 2023 mein IMF se $3 billion ka standby arrangement hasil kiya. Chairman ne poocha ke IMF se qarz lene ke baad Rs90 billion political schemes par kyun kharch kiye gaye? Committee ne IMF se liye gaye qarz ke istemal ki tafseelat talb ki.

Meeting mein ye bhi bataya gaya ke IMF ne ab tak Pakistan ko 2,126 million SDRs faraham kiye hain aur agle 3 se 5 saalon mein $6.36 billion SDRs wapis karne hain. 1984 se lekar ab tak IMF ko interest ki surat mein $2,439 million ki adaigi ki gayi hai.

State Bank ke officers ne bataya ke her dafa balance of payments ke masail ne mulk ko IMF se qarz lene par majboor kiya. Committee ko Power aur Water Resources Division ke tamam ongoing aur Completed projects ke mutaliq tafseelat bhi di gayi.

Committee ko 1958 se 2024 tak ke tamam IMF programs ki tafseelat di gayi, jin mein loan amounts, repayments aur interest payments shamil hain. Pakistan ne 1958 se ab tak IMF se SDR 21,260.08 million liye hain, jis me se SDR 6,369.16 million ab tak wapis karna baqi hai.

Eurobonds aur Sukuk ki interest payments bhi Committee ke samnay rakhi gayi, jis me 2005 se 2023 tak ki payments shamil hain. Committee ne mulk ke tamam multilateral aur bilateral projects ke mutaliq bhi maloomat hasil ki.

Committee Chairman ne kaha ke agar relevant ministers meeting mein shamil hote, to kai masail ko behtar andaz mein hal kiya ja sakta tha.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×