Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeFinanceCommoditiesPAKISTAN AUR UAE KE DARMIYAN KHAJOOR KI KASHT KA MOAHIDA

PAKISTAN AUR UAE KE DARMIYAN KHAJOOR KI KASHT KA MOAHIDA

Pakistan aur UAE ke darmiyan khajoor ki kasht ke farogh ke liye mou par dastakhat kar diye gaye hain. Is se dono parties ke darmiyan mutual cooperation ko promote karne aur Skill exchanges mein madad milegi.

MOU par dastakhat ki taqreeb mein UAE ke Minister for Tolerance and Coexistence Sheikh Nahyan Mubarak Al Nahyan bhi shareek hue. MOU par UAE mein Pakistan ke safir Faisal Niaz Tirmizi aur General Secretary Khalifa International Award for Dates and Agricultural Innovation Professor Doctor Abdul Wahab Zaid ne dastakhat kiye. 

Briefing ke mutabiq MoU Pakistan ke kisanon ko khajoor ki Cultivation barhane ka moqa bhi faraham karega jis mein Concepts of innovation bhi shamil hain. UAE  Pakistan ko khajoor ki Cultivation ko barhane ke liye technicle help provide karega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×