ISLAMABAD: Pakistan tax filers ko encourage karne ke liye, proposed Finance Bill 2023-24 ke mutabiq, non-filers ke cash withdrawals par tax phirse laga diya jaega.
Ministry Of Finance ne cash withdrawal par non-ATL persons par 0.6% advance adjustable tax lagane ka proposal diya hai.
A/c to Finance Bill har banking company ek din me cash withdrawal ke liye kisi person se, jis ka naam active taxpayers’ list me nahi hai, 0.6% ka advance adjustable tax deduct karlegi agar us person ne ek din me 50,000 rupay se zyada cash withdraw kiya hai.
For removal of doubt, FBR ne clarified ke ye Rs.50,000 ek din me total cash withdrawals honge.