Federal Board of Revenue (FBR) ne Sales Tax De-Registration ka naya tareeqa-e-kaar mutarif karwa diya hai.
FBR ke jari karda notification ke mutabiq, Sales Tax Registration cancel karne ke liye ab sirf online application di ja sakti hai — manual tareeqe se di gayi darkhwastein ab qabool nahi hongi.
Notification mein kaha gaya hai ke tamam applications computerized system ke zariye process ki jayengi, jab ke Sales Tax Act 1990 ke Section 21 aur Rule 11 ke tahat karwai ki jayegi.
FBR ka kehna hai ke pehle se pending manual applications bhi ab naye computerized system ke zariye hi process ki jayengi.