Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeEconomyMONETARY POLICY ANNOUNCEMENT: KIA HOGA INTEREST RATE CHANGE ?? ANALYSTS KI AHAM...

MONETARY POLICY ANNOUNCEMENT: KIA HOGA INTEREST RATE CHANGE ?? ANALYSTS KI AHAM RAE

Monetary Policy hone wali he announce sab ko intezar he kia hoga naya interest rate. Kia assraat honge Pakistan ki Economy per, kia hoga Pakistan me mehngai ka mazeed izaafa.

Aane wale Monetary Policy announcement ke hawale se Market experts ke aham views:

JS Global Capital Limited ke Research Analyst Waqas ka kehna hai ke unka khyal hai ke interest rate abhi bhi wahi rahega. Or kuch bhi kehna qabl as waqt hoga.

BMA Capital Management Ltd. ke Research Head Abdul Rehman ne bhi is par apne views bayan kiye hain aur unka kehna hai ke interest rate same rahega. Jesa ke abhi jab Dollar stable ho gaya hai aur 280 se 290 ki range mein hai, to interest rate cut hone par rupee pe dabao aa sakta hai.

Abdul Rehman ka kehna hai ke last month ki inflation reading over 29% thi, jabke umeed ki jarahi thi ke woh 25% se 26% tak kam ho jayegi, lekin abhi bhi negative hai. Forward-looking basis par toh positive hai, lekin abhi current levels par negative hai. Is ke bawajood, unka kehna hai ke near term mein policy rate same rahega takay economic stability qaim rahe. Baaki, Fiscal Year ke end ya 3rd quarter ke end tak ye tabdeel ho sakta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×