Friday, October 24, 2025
spot_img
HomeBusinessMEEZAN BANK KA MUNAFA 11% KUM, EPS RS12.65 PER SHARE RAH GAYA

MEEZAN BANK KA MUNAFA 11% KUM, EPS RS12.65 PER SHARE RAH GAYA

Karachi:
Meezan Bank Limited (MEBL), mulk ka sab se bara Islamic bank, ne September 30, 2025 ko khatam hone wale quarter ke liye consolidated profit after tax (PAT) Rs23.38 billion report kiya hai — jo pichle saal ke isi arsay ke Rs26.21 billion ke muqable mein 11% kum hai.

Report k according,  earnings per share (EPS) Rs12.65 rahi jab ke pichle saal isi quarter mein ye Rs14.52 thi.

Bank ke Board of Directors ne quarter aur nine-month period ke liye interim cash dividend Rs7 per share (70%) ka elan bhi kiya hai — jo pehle diye gaye Rs14 per share (140%) ke ilawa hai.

Meezan Bank ka net profit/return Islamic financing aur investments par lagbhag 19% ghatt kar Rs62.47 billion raha.
Lekin fee aur commission income 12% barh kar Rs7.8 billion ho gayi, jab ke foreign exchange income mein zabardast izafa dekha gaya — Rs29 million se Rs2.75 billion tak, yaani 93 guna zyada.

Total income 11% ghatt kar Rs73.8 billion rahi, jab ke operating expenses 20% barh kar Rs26.5 billion tak pohanch gaye.

Is sab ke natije mein, profit before tax Rs48.4 billion raha (17% kum), jab ke tax payment Rs25 billion rahi, jo pichle saal se 22% kam hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×