Sunday, January 19, 2025
spot_img
HomeBusinessMAY 2024: PAKISTAN'S AUTO SALES REBOUND WITH PROMISING GROWTH ACROSS SEGMENTS

MAY 2024: PAKISTAN’S AUTO SALES REBOUND WITH PROMISING GROWTH ACROSS SEGMENTS

Karachi: May 2024 mein Pakistan mein gaariyon ki sales mein thodi behtri hui hai. Reputable brokerage firm ki report kay mutabiq Total 10,949 gaariyan bechi gayin jo pichle mahine se 4% zyada hain aur pichle saal ke muqablay mein double hain. Lekin 11 mahine ke liye, farokht 25% kam hui hai.

  • INDU: INDU ki sales flat rahi lekin Fortuner aur Revo mein 41% izafa dekhne ko mila, jabke “Corolla, Yaris aur Corolla Cross” 9% kam hui. Market share 0.9% ghat kar 18.7% hogaya.
  • PSMC: PSMC ne 55% market share ke saath qaim raha. Swift, Ravi aur Bolan ki achi sales ne Alto, Wagon R aur Cultus ki kamzor sales ko balance kar diya. Swift ki sales mein 7% price cut ke baad izafa dekhne ko mila.
  • HCAR: HCAR ki sales mein sabse zyada behtari hui, 18% izafa hua. SUV aur sedan dono segments mein behtari dekhne ko mili. April mein HCAR ki sales bohot kamzor thi (50% kam).
  • Tractor industry: Tractor sales flat rahi, total 3,078 units. AGTL ki sales 30% kam hui, lekin MTL ki sales mein 15% izafa ne market share 76% tak barhaya.

Report kay mutabiq dekha ye jaraha he ke auto sales ne FY24 mein bottom touch kar liya hai, aur FY25 mein behtari ki umeed hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×