KSE-100 Index ka re-rating potential barh gaya hai kyun ki secondary market yields mein recent dip (12M PKRV pichle mahine mein 170bp gir gaya) ne PSX ke liye re-rating case ko mazid strong kar diya hai.
Earnings yields aur 12M PKRV ke darmiyan gap 10ppt tak barh gaya hai, jab ke mid-July mein yeh gap 7ppt aur pre-COVID historical average 4ppt tha. Agar yeh gap recent low 7ppt par wapas aata hai, to KSE-100 Index aprox 89,000 tak pohnch sakta hai, aur agar yeh gap 4ppt par wapas aata hai, to Index 100,000 tak bhi ja sakta hai.