Thursday, September 19, 2024
spot_img
HomeArticlesPakistan me Pharma Industry ka Future?

Pakistan me Pharma Industry ka Future?

Pakistan ki pharma industry ki tareekh takreeban utni hee purani hai jitna hamaraa mulk. Partition kay baad pharma market per multinational companies puri tarah say chahay huay thay jo kay naa sirf technology bulkay quality or production capacity mey bohot hee agay thay. Azzadi kay takreeban 6 say 8 saal kay baad Pakistani pharma companies kaa irtiqaa shuruu huaa or waqt kay sath sath aagay barhtaa raha.

Pharma per year 2000 tak market ka takreeban 60% multinational companies kay paas raha, laikin iss kay baad local companies may aik tuffan aaya or tezi sey taraqi kartay huay aaj local companies 70% sey ziada market share rakhti hain. Iss taraqi mey sirf quantity hee nahin bulkay quality kaa bhi bohot barra hissa hey. Aaj ki tareekh may top 10 pharma companies ziyada tar local companies kaa hissa hain or woh mazeed tezi sey aagay barh rahi hain.
Local pharma kee taraqi may Jahan unn ki extraordinary mehnat shamil hey wahan aik boht barra hissa multinational kaa mulk chorh kar janaa bhi hai jo unn kay favor may hey, jis kee wajah hamare mulk kee girty huee economy or musalsal devaluation rahi hey. Iss kee wajah sey multinational kaa interest Pakistan market may kam say kam ho raha hey. Jaanay walee barri companies may chand barray name Johnson & Johnson, Bristol-Myers Squibb, Roche, Merck, MSD shaamil hain aur yeah Silsila mazeed jaree or saree hey.

Multinational kay market sey jannay sey Jahan local companies ko faidah hoga wahan new research molecules kaa fuqdaan bhi hoga. Kyonkay tamaam research or development sirf big multinational companies kay haath may hey jo kay roz aik new molecule launch kartay rahtay hein. Iss surat main hamaray mulk ko yeah molecules import karnay partay hain kyonkay under Patent rights protection yeah molecules har koi nahin bana sakta.

Multinational or Local industry kay iss puray safar main aik baat intihaai aham hey jo kay aik aam admi ko shaid nazar naa aey, woh yeah kay hamara mulk or industry hamesha say finished pharma products bananay main taraqi kar raha hey magar inn dawayun may istimaal hunay wallay ajzaa khaas taur par active ingredients and also excipients jin kay formulation say yeah dawain bantee hain sub ki sub import kee jaati hain. Inn ajzaa ko bananay my hum China aur India kay muqablay main kaheen bhi naheen hain. Khuda naa Khuasta kisi bhi hadsay, aafat yaa jung kee surat main humari pharma industry suffer kar sukti hey. Iss kee aik recent missal Internal Covid lock down aur India kay sath haalia jahrap hey jis kay baad hum nay India say trade ban lagayaa laikin sirf pharma kay liyay hatana paraa. Yeah woh muqaam Jahan naa sirf pharma bulkay tamam industry hameshaa say import par depend karti hai.

Zaroorat iss baat ki hay kay kab hum apnay mulk may industrialization ko basic level ko farogh dain gay ya hamesha dusron kay bul bottay apni industry chalain gay.

Author: Mr. Abdul Rehman, article kay author hain, Mr. Rehman Pharma Industry me vast experience rakhtay hain or apne career me bohat see Multinational or National Companies kay sath kam kar chukay hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×