Sunday, January 19, 2025
spot_img
HomeNationalK-ELECTRIC'S NEW AGREEMENT WITH KARACHI MUNICIPAL CORPORATION SPARKS CONCERNS OVER ADDITIONAL UTILITY...

K-ELECTRIC’S NEW AGREEMENT WITH KARACHI MUNICIPAL CORPORATION SPARKS CONCERNS OVER ADDITIONAL UTILITY TAXES

Karachi: Municipal Corporation Karachi ne K-Electric ke zariye Municipal Utility Charges aur Tax (MUCT) collect karne ke Liye ek agreement kar liya hai.

Mayor Karachi Barrister Murtaza Wahab ne kaha hai ke MUCT ke tahat Municipal Corporation aur K-Electric ke darmiyan agreement tay pa gaya hai.

Is faislay ke mutabiq ghareeb aur kam aamdani wale gharelo asnaf ko 100 unit tak riayat di gayi hai. 101 se 200 unit par 20 rupay, 201 se 300 unit par 40 rupay, 301 se 400 unit par 100 rupay, 401 se 500 unit par 125 rupay, 501 se 600 unit par 150 rupay, 601 se 700 unit par 175 rupay aur 700 se zyada unit par 300 rupay lagae jayenge.

Commercial aur industrial users ke liye 400 rupay mahana mukarrar kiye gaye hain. Murtaza Wahab ne kaha ke is faislay se Municipal Corporation ko salana 4 billion Rs.hasil honge, jo city ki behtri aur taraqqi par kharch kiye jayenge.

Unho ne ye bhi kaha ke Mustafa Kamal ke dor me lagaye gaye tax se yeh kai guna kam hai. Unho ne awam ko yaqeen dilaya ke yeh paisa shehr ki taraqqi par shaffaf tor par kharch Kia jayega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×