Karachi: K-Electric Limited (KEL) ne un khabron par rad-e-amal diya hai jis me kaha gaya tha ke company ke aik indirect shareholder ne Saudi investor ke sath apne hissa farokht karne ke liye Memorandum of Understanding (MoU) sign kiya hai.
K-Electric ke bayaan ke mutabiq, company ne is moamlay par KES Power Limited (jo K-Electric ka majority shareholder hai) se tasdeeq aur wazahat talab ki hai.
Bayaan mein kaha gaya ke ab tak KES Power Limited ki janib se koi rasmi tasdeeq ya wazahat nahi mili, lekin company ko KES Power Limited ke aik director ka letter receive hua hai, jo Al-Jomaih Power Limited (K-Electric ke aik indirect shareholder) ki numaindagi karte hain.
Company ne kaha ke is letter ko Annexure-B ke tor par share kiya gaya hai, jab ke MoU aur sale ke hawalay se koi official confirmation abhi tak saamne nahi aayi.