Pakistan Federal Board of Revenue (FBR) ki team ne non-integrated invoices par karwai karte hue Islamabad ke 2 restaurants seal kar diye.
FBR ke mutabiq, Islamabad ke posh sectors mein Point of Sale (POS) ka nizam na lagane wale hotels aur restaurants ke khilaf operation ke doran ye karwai ki gayi.
FBR ke spokesperson ne bataya ke Regional Tax Office (RTO) Islamabad ki team ne Chief Commissioner ki hidayat par in restaurants ke khilaf action liya jo non-integrated invoices issue kar rahe the.
Karwai se pehle in restaurants ke hawale se tamam saboot ikattha kiye gaye, aur pehlay se permission hasil karne ke baad tamam legal requirements puri karte hue inspection ki gayi.
Seal kiye gaye restaurants Islamabad ke Sector F-6 aur F-7 mein located hain, jahan POS system ka implementation na hone ki wajah se karwai ki gayi.
FBR ke officials ka kehna hai ke jo bhi business qanun ki khilafwarzi karega uske khilaf strict karwai ki jayegi, taake qaumi khazane mein logon ka tax jama kiya ja sake.
FBR ke spokesperson ne mazid kaha ke awaam ke diye hue tax ka qaumi khazane mein jama hona department ki pehli zimmedari hai, aur is maqsad ke liye FBR ki team puri tarah se active hai.
Officials ka kehna tha ke aisi karwaiyan jaari rahengi taake tax system mein transparency aur qanun ki baladasti ko yaqeeni banaya ja sake.