Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeBusinessINDIA LIFTS RICE EXPORT BAN, THREATENS PAKISTAN'S EXPORT PROFITS

INDIA LIFTS RICE EXPORT BAN, THREATENS PAKISTAN’S EXPORT PROFITS

India ne 27 September ko chawal ke export par lagi pabandi hata di hai. Yaad rahe ke India, jo duniya ka sab se bara chawal export karne wala mulk hai, ne July 2023 mein non-basmati chawal ka export band kar diya tha aur August 2023 mein basmati aur parboil chawal par bhi pabandiyan lagayi thi.

Jab India ne chawal ka export roka, to Thai aur Vietnam ke chawal ke daam mein agle 6 mahino mein 40% izafa ho gaya. Wahan, El Niño ke asar ki wajah se kai Asian mulkon mein chawal ki paidawaar kam hui, lekin Pakistan ne FY24 mein 9.8 million ton ki zabardast fasal hasil ki, jis ka faida uthate hue Pakistan ke chawal export mein 83% izafa hua.

Expectations hen ke is saal Pakistan dobara 10 million ton ki record fasal hasil kar sakta hai, lekin India ke dobara bazar mein aane se Pakistan ke chawal ke export par asar parega. 

Experts ke tajziye ke mutabiq, agar export volume 5.6 million ton rahti hai aur prices mein 5% ka decline hota hai, to Pakistan ka export munafa kam hote hue 12% tak gir sakta hai, jo ke $3.5 billion tak ho sakta hai.

Matlab, India ke wapas aane se Pakistan ke chawal export ke daam aur volume dono par bura asar par sakta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×