Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeEconomyIMF'S CURRENT PROGRAM WILL BE THE LAST, SAYS FEDERAL MINISTER OF FINANCE

IMF’S CURRENT PROGRAM WILL BE THE LAST, SAYS FEDERAL MINISTER OF FINANCE

Islamabad: Federal Minister of Finance Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke IMF ke sath program tay ho gaya hai aur yeh moujooda program aakhri hoga.
Unka kehna tha ke Group 20 mein shamil hone ke liye mulk ki economy ko documented banana zaroori hai.

Islamabad mein press conference karte hue Minister of Finance ne kaha ke tax collection barhana na-guzair hai, aur micro-economic stability koi manzil nahi, balki ek raasta hai. Aage unhone kaha ke hum ne local loans ke liye T-bills aur bonds ki offers ko reject kar diya hai.

Aurangzeb ne wazeh kiya ke Pakistan ki economy durust direction mein barh rahi hai aur behtri ki janib ja rahi hai. Behtari ke liye hum foreign experts ki services le rahe hain. Unhone kaha ke mulk ke foreign exchange reserves barh rahe hain aur yeh ab apni buland tareen satah par hain.

Unhone ye bhi kaha ke mulki exports, khaas tor par IT exports mein waazeh izafa dekha gaya hai aur investors ka aitebaar economy par barh gaya hai.

Minister of Finance ne ye bhi kaha ke policy rate 4.5% kam hua hai aur umeed hai ke exchange rate aur policy rate humari expectations ke mutabiq rahenge.

Minister of Finance ne further kaha ke pichlay saal 3 lakh naye filers the aur is saal ab tak 7 lakh 32 hazar naye filers aa chuke hain. Filers ki tadaad 16 lakh se barh kar 32 lakh ho gayi hai. Ab non-filers na property khareed sakte hain na gaariyan.

Unhone yeh bhi bataya ke ministries mein right-sizing ka kaam jaari hai, 6 ministries khatam karne ka faisla ho chuka hai aur do ministries ko merge kiya ja raha hai. Unhone kaha ke various ministries mein 1.5 lakh posts khatam ki ja rahi hain.

Muhammad Aurangzeb ne akhri mein kaha ke mehngaai mein kami aayi hai aur yeh koi hawaai baat nahi, Government ki policies ke natijay mein mehngaai ab single digit mein aa gayi hai. Petrol ke prices kam hone ke bawajood transport kirayon mein bhi kami honi chahiye.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×